hai pasheman chand us ka ru-e-taban dekh kar
hai pashemāñ chāñd us kā rū-e-tābāñ dekh kar
shab khilī hai mere dilbar ko daraḳhshāñ dekh kar
'ishq to hai aib mujh meñ tū hunar hai husn kā
hai javānī dang ham dono ko yaksāñ dekh kar
ye jahāñ laayā gayā hai sāzishan mere liye
maiñ magar hañstā huuñ ġham kā itnā sāmāñ dekh kar
chāhtā huuñ baat karnā us se duniyā-bhar kī maiñ
Dar rahā huuñ us ke lekin lafz paikāñ dekh kar
jāntā ujlat hai un ko baat kah detā tabhī
ab farāġhat se haiñ vo mujh ko pashemāñ dekh kar
lutf-e-tanhā.ī ne ham ko itnā daanā kar diyā
ab laraz uThtā hai dil mehmān-e-nādāñ dekh kar
hai pasheman chand us ka ru-e-taban dekh kar
shab khili hai mere dilbar ko daraKHshan dekh kar
'ishq to hai aib mujh mein tu hunar hai husn ka
hai jawani dang hum dono ko yaksan dekh kar
ye jahan laya gaya hai sazishan mere liye
main magar hansta hun gham ka itna saman dekh kar
chahta hun baat karna us se duniya-bhar ki main
Dar raha hun us ke lekin lafz paikan dekh kar
jaanta ujlat hai un ko baat kah deta tabhi
ab faraghat se hain wo mujh ko pasheman dekh kar
lutf-e-tanhai ne hum ko itna dana kar diya
ab laraz uThta hai dil mehman-e-nadan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.