hai rakhni kitni rawani nahin samajh pae
hai rakhnī kitnī ravānī nahīñ samajh paa.e
javān log javānī nahīñ samajh paa.e
vo log ishq ke sahrā meñ tishna-lab hī rahe
jo log ret ko paanī nahīñ samajh paa.e
ulaT-palaT ke bahut ziist ko paḌhā ham ne
kisī tarah bhī ma.ānī nahīñ samajh paa.e
jadīd lahje meñ us ne hamārī baat kahī
samajh thī jin kī purānī nahīñ samajh paa.e
hujūm-e-shahr meñ din jaise-taise kaaT diyā
kahāñ hai raat bitānī nahīñ samajh paa.e
tamām umr suḳhan-āshnā rahe lekin
ġhazal thī kis ko sunānī nahīñ samajh paa.e
ye ham ne Thaan rakhī hai ki ḳhush nahīñ rahnā
magar ye kis liye Thānī nahīñ samajh paa.e
ham us ko ḳhvāb samajhte the sub.h kā rañgīñ
ham us ko raat kī raanī nahīñ samajh paa.e
ye log apnī ḳhirad ke shikār log haiñ 'jashn'
tabhī to dil kī zabānī nahīñ samajh paa.e
hai rakhni kitni rawani nahin samajh pae
jawan log jawani nahin samajh pae
wo log ishq ke sahra mein tishna-lab hi rahe
jo log ret ko pani nahin samajh pae
ulaT-palaT ke bahut zist ko paDha hum ne
kisi tarah bhi maani nahin samajh pae
jadid lahje mein us ne hamari baat kahi
samajh thi jin ki purani nahin samajh pae
hujum-e-shahr mein din jaise-taise kaT diya
kahan hai raat bitani nahin samajh pae
tamam umr suKHan-ashna rahe lekin
ghazal thi kis ko sunani nahin samajh pae
ye hum ne Than rakhi hai ki KHush nahin rahna
magar ye kis liye Thani nahin samajh pae
hum us ko KHwab samajhte the subh ka rangin
hum us ko raat ki rani nahin samajh pae
ye log apni KHirad ke shikar log hain 'jashn'
tabhi to dil ki zabani nahin samajh pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.