hai rang-e-hina jin mein wahi hath dikha de
hai rañg-e-hinā jin meñ vahī haath dikhā de
hasrat hai ki phir dil meñ koī aag lagā de
yaktā.ī kā da.avā to bahut kuchh hai mirī jaan
kyā ho jo koī aa.ina mahfil meñ dikhā de
sabze kī tarah so ga.e vo sehn-e-chaman meñ
be-samjhe chaTak kar koī ġhuncha na jagā de
ḳhat paḌh ke na tham dam mirā ruk jaatā hai qāsid
jo jo marī taqdīr kā likkhā hai sunā de
hañs dete haiñ muñh pher ke vo mere sirhāne
jab log ye kahte haiñ ḳhudā is ko shifā de
hai rang-e-hina jin mein wahi hath dikha de
hasrat hai ki phir dil mein koi aag laga de
yaktai ka dawa to bahut kuchh hai meri jaan
kya ho jo koi aaina mahfil mein dikha de
sabze ki tarah so gae wo sehn-e-chaman mein
be-samjhe chaTak kar koi ghuncha na jaga de
KHat paDh ke na tham dam mera ruk jata hai qasid
jo jo mari taqdir ka likkha hai suna de
hans dete hain munh pher ke wo mere sirhane
jab log ye kahte hain KHuda is ko shifa de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.