hai raushni mera azm-o-yaqin chala aaya
hai raushnī mirā azm-o-yaqīñ chalā aaya
sitāra huuñ maiñ barā-e-zamīñ chalā aaya
maiñ sab se qīmtī ḳhilqat ḳhudā-e-qudrat kī
mirā javāz hai yūñhī nahīñ chalā aaya
hai merī aah mire qahqahoñ kī aahaT meñ
azā-e-zīst meñ ḳhanda-jabīñ chalā aaya
bisāt-e-dāman-e-sad-chāk terī qismat hai
tire visāl ko aisā nagīñ chalā aaya
ajab ġhazab hai ki dil DhūñDne lagā ḳhud ko
idhar jo aaj vahī dil-nashīñ chalā aaya
zamīñ se dād-rasī kī umiid TuuT chukī
so naala jānib-e-arsh-e-barīñ chalā aaya
ḳhayāl thā ki mire dostoñ kī mahfil hai
so dosto ye huā maiñ yahīñ chalā aaya
har ek vaqt hai us kā har ek sur komal
ġhazal meñ ban ke vo ik bhairvīñ chalā aaya
ye kah ke gor bhī mujh par kushāda hone lagī
ḳhush-āmdīd ki merā makīñ chalā aaya
ab ehtiyāt se matlab nahīñ ‘alī-yāsir’
ki sāmne vo mirā nukta-chīñ chalā aaya
hai raushni mera azm-o-yaqin chala aaya
sitara hun main bara-e-zamin chala aaya
main sab se qimti KHilqat KHuda-e-qudrat ki
mera jawaz hai yunhi nahin chala aaya
hai meri aah mere qahqahon ki aahaT mein
aza-e-zist mein KHanda-jabin chala aaya
bisat-e-daman-e-sad-chaak teri qismat hai
tere visal ko aisa nagin chala aaya
ajab ghazab hai ki dil DhunDne laga KHud ko
idhar jo aaj wahi dil-nashin chala aaya
zamin se dad-rasi ki umid TuT chuki
so nala jaanib-e-arsh-e-barin chala aaya
KHayal tha ki mere doston ki mahfil hai
so dosto ye hua main yahin chala aaya
har ek waqt hai us ka har ek sur komal
ghazal mein ban ke wo ek bhairwin chala aaya
ye kah ke gor bhi mujh par kushada hone lagi
KHush-amdid ki mera makin chala aaya
ab ehtiyat se matlab nahin ‘ali-yasir’
ki samne wo mera nukta-chin chala aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.