hai sab ko dhun shikar ki kis ko ye dhyan hai
hai sab ko dhun shikar ki kis ko ye dhyan hai
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
hai sab ko dhun shikār kī kis ko ye dhyān hai
vo shāḳh khokhlī hai ki jis par machān hai
ik baar chuum luuñ dar-o-dīvār to chalūñ
jaisā bhī hai ye merā purānā makān hai
ḳhud apnā aks dekh ke chakrā gayā huuñ maiñ
ā.īna dekhnā bhī kaḌā imtihān hai
maiñ ḳhud hī zahr us ke piyāle meñ ghol duuñ
aur ḳhud hī ye kahūñ vo bahut bad-zabān hai
filhāl tū zamīñ pe hai is baat ko na bhuul
mālūm hai bahut tirī ūñchī uḌaan hai
hai sab ko dhun shikar ki kis ko ye dhyan hai
wo shaKH khokhli hai ki jis par machan hai
ek bar chum lun dar-o-diwar to chalun
jaisa bhi hai ye mera purana makan hai
KHud apna aks dekh ke chakra gaya hun main
aaina dekhna bhi kaDa imtihan hai
main KHud hi zahr us ke piyale mein ghol dun
aur KHud hi ye kahun wo bahut bad-zaban hai
filhaal tu zamin pe hai is baat ko na bhul
malum hai bahut teri unchi uDan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.