hai sadaf gauhar se Khaali raushni kyunkar mile
hai sadaf gauhar se ḳhālī raushnī kyūñkar mile
aaj shāyad rāste meñ koī paiġhambar mile
kaisī rut aa.ī ki saarā baaġh dushman ho gayā
shāḳh-e-gul meñ bhī hameñ talvār ke jauhar mile
duur tak jin rāstoñ par muntazir baiThe the log
lauT kar bād-e-sabā aa.ī to kuchh patthar mile
raushnī kī khoj meñ paltīñ zamīñ kī jab taheñ
kuchh lahū ke daaġh kuchh TuuTe hue ḳhanjar mile
āḳhir ab aisā bhī kyā duniyā se bad-dil honā 'zeb'
pahle miTTī meñ to mere yaar ye jauhar mile
hai sadaf gauhar se KHali raushni kyunkar mile
aaj shayad raste mein koi paighambar mile
kaisi rut aai ki sara bagh dushman ho gaya
shaKH-e-gul mein bhi hamein talwar ke jauhar mile
dur tak jin raston par muntazir baiThe the log
lauT kar baad-e-saba aai to kuchh patthar mile
raushni ki khoj mein paltin zamin ki jab tahen
kuchh lahu ke dagh kuchh TuTe hue KHanjar mile
aaKHir ab aisa bhi kya duniya se bad-dil hona 'zeb'
pahle miTTi mein to mere yar ye jauhar mile
- Book : zartaab (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.