Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai safar aisa palaTne ka koi imkan nahin

Shahabullah Shahab

hai safar aisa palaTne ka koi imkan nahin

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    hai safar aisā palaTne koī imkāñ nahīñ

    gard baaqī hai āñkhoñ meñ koī sāmāñ nahīñ

    naam merā yaad jo tum ko nahīñ to kyā huā

    aisī chīzeñ bhuul jaane meñ koī nuqsāñ nahīñ

    kaise andāza karūñ maiñ shiddat-e-ġham ki jab

    dil meñ jo barpā huā vo aañkh meñ tūfāñ nahīñ

    dekh kar aayā huuñ sab ko masjid-o-mandir meñ ab

    haiñ sabhī dhanvān in meñ koī yazdāñ nahīñ

    apne dil meñ ghuum kar sahrā andāza huā

    ghar jo hai majnūñ vo bhī is qadar vīrāñ nahīñ

    saath le chal mujhe ki rāsta hai pur-ḳhatar

    ai ġham-e-daurāñ jo tere paas kuchh sāmāñ nahīñ

    lab mire zaḳhmī haiñ aa kar dekh sakte ho 'shahāb'

    bose lenā yuuñ kisī patthar ke to āsāñ nahīñ

    hai safar aisa palaTne ka koi imkan nahin

    gard hi baqi hai aankhon mein koi saman nahin

    nam mera yaad jo tum ko nahin to kya hua

    aisi chizen bhul jaane mein koi nuqsan nahin

    kaise andaza karun main shiddat-e-gham ka ki jab

    dil mein jo barpa hua wo aankh mein tufan nahin

    dekh kar aaya hun sab ko masjid-o-mandir mein ab

    hain sabhi dhanwan hi in mein koi yazdan nahin

    apne dil mein ghum kar sahra ka andaza hua

    ghar jo hai majnun ka wo bhi is qadar viran nahin

    sath le chal tu mujhe ki rasta hai pur-KHatar

    ai gham-e-dauran jo tere pas kuchh saman nahin

    lab mere zaKHmi hain aa kar dekh sakte ho 'shahab'

    bose lena yun kisi patthar ke to aasan nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now