hai safar behad zaruri wo bhi gahri dhup mein
hai safar behad zarūrī vo bhī gahrī dhuup meñ
us pe itrātī hai ye zālim do-pahrī dhuup meñ
dekhiye in pokharoñ meñ raqs kartī zindagī
kaise ye bachche nahāte haiñ sunahrī dhuup meñ
rāste vīrān haiñ ab apnī manzil kā pata
kis se pūchheñ kis se jāneñ gūñgī-bahrī dhuup meñ
saare jhagḌe gaañv hī meñ baiTh kar suljhā liye
kaun itnī duur jā.egā kachahrī dhuup meñ
is khañDar meñ aate haiñ mere sivā kuchh rāhgīr
kuchh parinde chilchilātī sī do-pahrī dhuup meñ
aaj shāḳhoñ se baġhāvat kā sila bhī mil gayā
baiThī hai tanhā akelī ik gilahrī dhuup meñ
hai safar behad zaruri wo bhi gahri dhup mein
us pe itraati hai ye zalim do-pahri dhup mein
dekhiye in pokharon mein raqs karti zindagi
kaise ye bachche nahate hain sunahri dhup mein
raste viran hain ab apni manzil ka pata
kis se puchhen kis se jaanen gungi-bahri dhup mein
sare jhagDe ganw hi mein baiTh kar suljha liye
kaun itni dur jaega kachahri dhup mein
is khanDar mein aate hain mere siwa kuchh rahgir
kuchh parinde chilchilati si do-pahri dhup mein
aaj shaKHon se baghawat ka sila bhi mil gaya
baiThi hai tanha akeli ek gilahri dhup mein
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 73)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.