hai saza kaisi dawa ke nam par
hai sazā kaisī davā ke naam par
kāsa-lesī hai atā ke naam par
kulfatoñ meñ ho ga.ī lambī hayāt
badduā aa.ī duā ke naam par
haiñ atāoñ ke salāsil aur ham
qaid-e-zindāñ hai diyā ke naam par
ḳhuun rotī hai hayāt-e-nā-murād
bigḌe dil ik peshvā ke naam par
phir rahī hai maut ko le kar vabā
dard bikhrā hai havā ke naam par
rahnumāoñ kī atā mat pūchhiye
muflisī meñ ik ridā ke naam par
miT ga.ī hai apnī hastī yuuñ 'nasīm'
hukm aa.e iltijā ke naam par
hai saza kaisi dawa ke nam par
kasa-lesi hai ata ke nam par
kulfaton mein ho gai lambi hayat
baddua aai dua ke nam par
hain ataon ke salasil aur hum
qaid-e-zindan hai diya ke nam par
KHun roti hai hayat-e-na-murad
bigDe dil ek peshwa ke nam par
phir rahi hai maut ko le kar waba
dard bikhra hai hawa ke nam par
rahnumaon ki ata mat puchhiye
muflisi mein ek rida ke nam par
miT gai hai apni hasti yun 'nasim'
hukm aae iltija ke nam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.