hai sham suhani na sawera mere aage
hai shaam suhānī na saverā mire aage
dil rotā hai tanhā.ī kā ronā mire aage
vo hādsa-e-ishq mujhe yaad hai ab tak
hāthoñ se chhupānā tirā chehra mire aage
dil hāzir-o-māzī ke ho mābain muallaq
āñkhoñ meñ to hai sā.at-e-fardā mire aage
hai gulshan-e-hastī meñ har ik shai pe tajallī
har dam tirī qudrat kā hai jalva mire aage
tadbīr-o-tahammul to hai ho furqat o ġhurbat
mahrūmī-e-qismat hai tamāshā mire aage
marne kā hī ik ḳhvāb ho sharminda-e-ta.abīr
ho jalva-numā gumbad-e-ḳhazrā mire aage
kyā jāniye kyā zid hai mire ishq se un ko
nāseh mire pīchhe haiñ masīhā mire aage
aa tujh ko sikhā.ūñ maiñ mohabbat kā salīqa
is shahr meñ koī nahīñ tujh sā mire aage
dil jur.at-e-rindāna pe kyoñ kartā na ash-ash
vo karte rahe va.ada-e-fardā mire aage
hai sham suhani na sawera mere aage
dil rota hai tanhai ka rona mere aage
wo hadsa-e-ishq mujhe yaad hai ab tak
hathon se chhupana tera chehra mere aage
dil hazir-o-mazi ke ho mabain muallaq
aankhon mein to hai saat-e-farda mere aage
hai gulshan-e-hasti mein har ek shai pe tajalli
har dam teri qudrat ka hai jalwa mere aage
tadbir-o-tahammul to hai ho furqat o ghurbat
mahrumi-e-qismat hai tamasha mere aage
marne ka hi ek KHwab ho sharminda-e-tabir
ho jalwa-numa gumbad-e-KHazra mere aage
kya jaaniye kya zid hai mere ishq se un ko
naseh mere pichhe hain masiha mere aage
aa tujh ko sikhaun main mohabbat ka saliqa
is shahr mein koi nahin tujh sa mere aage
dil jurat-e-rindana pe kyon karta na ash-ash
wo karte rahe wada-e-farda mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.