hai shahr-e-jaan ke pas hi virana dekhiye
hai shahr-e-jāñ ke paas hī vīrāna dekhiye
is dasht meñ junūñ kā Thahar jaanā dekhiye
kyūñkar hai aaj masti-e-rindāna dekhiye
saaqī hai kaun kaisā hai paimāna dekhiye
kar ke nigāh-e-nāz se 'āshiq ko zer-e-teġh
qātil kā qatl-gāh meñ sharmānā dekhiye
saare hasīn sub.h ke manzar haiñ bartaraf
bikhrī vo ruḳh pe kākul-e-jānāna dekhiye
tere hī dar pe miltā hai har dard ko sukūn
kaisā maraz hai kaisā davā-ḳhāna dekhiye
aksar maiñ ham-kalām huā huuñ ḳhudā ke saath
mujh se bashar meñ 'aks-e-kalīmāna dekhiye
tū mahv-e-raqs ābla-pā bhī rahā 'zahīr'
shauq-e-visāl-e-yār meñ dīvāna dekhiye
hai shahr-e-jaan ke pas hi virana dekhiye
is dasht mein junun ka Thahar jaana dekhiye
kyunkar hai aaj masti-e-rindana dekhiye
saqi hai kaun kaisa hai paimana dekhiye
kar ke nigah-e-naz se 'ashiq ko zer-e-tegh
qatil ka qatl-gah mein sharmana dekhiye
sare hasin subh ke manzar hain bartaraf
bikhri wo ruKH pe kakul-e-jaanana dekhiye
tere hi dar pe milta hai har dard ko sukun
kaisa maraz hai kaisa dawa-KHana dekhiye
aksar main ham-kalam hua hun KHuda ke sath
mujh se bashar mein 'aks-e-kalimana dekhiye
tu mahw-e-raqs aabla-pa bhi raha 'zahir'
shauq-e-visal-e-yar mein diwana dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.