hai sunana unhen bekar kisi aur ka dukh
hai sunānā unheñ bekār kisī aur kā dukh
jin ko hotā hī nahīñ yaar kisī aur kā dukh
koī dukh hai to mire dil ke havāle kar do
us ne bartā hai bahut baar kisī aur kā dukh
dekh letā hai akelā jo zamīñ par mujh ko
aah bhartā hai falak paar kisī aur kā dukh
roz kartā huuñ tire dukh kī talāfī aise
baañT letā huuñ mire yaar kisī aur kā dukh
log karte haiñ jo dukh-sukh meñ madad auroñ kī
un kā hotā hai madad-gār kisī aur kā dukh
roz detā hai mire dil pe tirā dukh dastak
oḌh letā huuñ maiñ har baar kisī aur kā dukh
maiñ sajā duuñ yahāñ tasvīr hamārī koī
maiñ lagā duuñ sar-e-dīvār kisī aur kā dukh
'izzat-e-nafs to muflis kī bhī hotī hogī
kyoñ baḌhātā hai riyā-kār kisī aur kā dukh
maiñ vo pāgal huuñ jise ḳhud se sarokār nahīñ
mujh se rakhtā hai sarokār kisī aur kā dukh
maiñ ne qasdan tire dukh se nahīñ āñkheñ pherīñ
dekh paatā nahīñ bīmār kisī aur kā dukh
ranj itne haiñ ki aatī nahīñ baarī apnī
roz likhtā hai qalam-kār kisī aur kā dukh
Thiik hai mujh meñ bahut hausla hogā lekin
merī bāñhoñ meñ na ro yaar kisī aur kā dukh
taaki mujh ko na mire dukh kī sadā.eñ aa.eñ
ab maiñ suntā huuñ lagātār kisī aur kā dukh
tere mantar se maiñ achchhā nahīñ hone vaalā
mujh pe taarī hai fusūñ-kār kisī aur kā dukh
jaise har dukh se zamāne ke ḳhalāsī hogī
yuuñ manāte haiñ azādār kisī aur kā dukh
us ko har sub.h har ik shaam hamārā dukh hai
ham ko din raat lagātār kisī aur kā dukh
hai sunana unhen bekar kisi aur ka dukh
jin ko hota hi nahin yar kisi aur ka dukh
koi dukh hai to mere dil ke hawale kar do
us ne barta hai bahut bar kisi aur ka dukh
dekh leta hai akela jo zamin par mujh ko
aah bharta hai falak par kisi aur ka dukh
roz karta hun tere dukh ki talafi aise
banT leta hun mere yar kisi aur ka dukh
log karte hain jo dukh-sukh mein madad auron ki
un ka hota hai madad-gar kisi aur ka dukh
roz deta hai mere dil pe tera dukh dastak
oDh leta hun main har bar kisi aur ka dukh
main saja dun yahan taswir hamari koi
main laga dun sar-e-diwar kisi aur ka dukh
'izzat-e-nafs to muflis ki bhi hoti hogi
kyon baDhata hai riya-kar kisi aur ka dukh
main wo pagal hun jise KHud se sarokar nahin
mujh se rakhta hai sarokar kisi aur ka dukh
main ne qasdan tere dukh se nahin aankhen pherin
dekh pata nahin bimar kisi aur ka dukh
ranj itne hain ki aati nahin bari apni
roz likhta hai qalam-kar kisi aur ka dukh
Thik hai mujh mein bahut hausla hoga lekin
meri banhon mein na ro yar kisi aur ka dukh
taki mujh ko na mere dukh ki sadaen aaen
ab main sunta hun lagatar kisi aur ka dukh
tere mantar se main achchha nahin hone wala
mujh pe tari hai fusun-kar kisi aur ka dukh
jaise har dukh se zamane ke KHalasi hogi
yun manate hain azadar kisi aur ka dukh
us ko har subh har ek sham hamara dukh hai
hum ko din raat lagatar kisi aur ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.