hai tahayyur-zada is shahr mein KHamoshi bhi
hai tahayyur-zada is shahr meñ ḳhāmoshī bhī
ki sunā.ī nahīñ detī koī sargoshī bhī
dil giraftār-e-tazabzub hai kidhar ko jaa.e
ghar bhī yaad aatā hai aur dasht-e-farāmoshī bhī
ye haqīqat hai ki be-misl hai ḳhud us kī tarah
us ḳhush-andām kī ḳhush-bāshī-o-ḳhush-poshī bhī
ek dīvār se mil jaatā hai saaya bhī hameñ
aur chāheñ to kuchh ehsās-e-ham-āġhoshī bhī
maslahat hogī koī pesh-e-nazar dhyān rahe
itnī saada to nahīñ shaiḳh kī mad-hoshī bhī
hai tahayyur-zada is shahr mein KHamoshi bhi
ki sunai nahin deti koi sargoshi bhi
dil giraftar-e-tazabzub hai kidhar ko jae
ghar bhi yaad aata hai aur dasht-e-faramoshi bhi
ye haqiqat hai ki be-misl hai KHud us ki tarah
us KHush-andam ki KHush-bashi-o-KHush-poshi bhi
ek diwar se mil jata hai saya bhi hamein
aur chahen to kuchh ehsas-e-ham-aghoshi bhi
maslahat hogi koi pesh-e-nazar dhyan rahe
itni sada to nahin shaiKH ki mad-hoshi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.