hai tere dagh se tar sina-e-sozan mera
hai tire daaġh se tar sīna-e-sozāñ merā
āb-o-rañg aag se rakhtā hai gulistāñ merā
ġham ke hāthoñ na rahā kuchh bhī rafū ke qābil
bas-ki sau baar huā chaak garebāñ merā
mauj-e-dariyā kī tarah zabt meñ aa saktā nahīñ
koī kyuuñ kar kahe ahvāl-e-pareshāñ merā
rū agar dījiye is ko bhī to kuchh aib nahīñ
aa.ine se bhī gayā kyā dil-e-hairāñ merā
maiñ to zāhir na karūñ us kī jafā ko lekin
chhup sake kyoñ ki 'yaqīñ' zaḳhm-e-numāyāñ merā
hai tere dagh se tar sina-e-sozan mera
aab-o-rang aag se rakhta hai gulistan mera
gham ke hathon na raha kuchh bhi rafu ke qabil
bas-ki sau bar hua chaak gareban mera
mauj-e-dariya ki tarah zabt mein aa sakta nahin
koi kyun kar kahe ahwal-e-pareshan mera
ru agar dijiye is ko bhi to kuchh aib nahin
aaine se bhi gaya kya dil-e-hairan mera
main to zahir na karun us ki jafa ko lekin
chhup sake kyon ki 'yaqin' zaKHm-e-numayan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.