hai to koshish yahi dil dasht-e-tamanna na bane
hai to koshish yahī dil dasht-e-tamannā na bane
phir bhī bantā hai jo vīrāna to vīrāna bane
ḳhaak bhī jal ke ho parvāna phir us par ye sitam
ġhāza-e-sham.a bhī ḳhāk-e-par-e-parvāna bane
kuchh Dhale raat jo utreñ tirī nazreñ dil meñ
kuchh bane baat jo tū zīnat-e-kāshāna bane
jaise sannāToñ meñ dil gum hai na ho gum koī
yuuñ na sunsān ho yuuñ ghar koī sahrā na bane
vo jo chāhe to mile daulat-e-bedār-e-junūñ
vo na chāhe to koī kis tarah dīvāna bane
sochte haiñ ki is ik baat ko ham deñ kyā naam
jo haqīqat meñ Dhale aur na afsāna bane
kaun siine se lagā.e phire is dil ko 'zafar'
hosh meñ aa ke bhī jo hosh se begāna bane
hai to koshish yahi dil dasht-e-tamanna na bane
phir bhi banta hai jo virana to virana bane
KHak bhi jal ke ho parwana phir us par ye sitam
ghaza-e-shama bhi KHak-e-par-e-parwana bane
kuchh Dhale raat jo utren teri nazren dil mein
kuchh bane baat jo tu zinat-e-kashana bane
jaise sannaTon mein dil gum hai na ho gum koi
yun na sunsan ho yun ghar koi sahra na bane
wo jo chahe to mile daulat-e-bedar-e-junun
wo na chahe to koi kis tarah diwana bane
sochte hain ki is ek baat ko hum den kya nam
jo haqiqat mein Dhale aur na afsana bane
kaun sine se lagae phire is dil ko 'zafar'
hosh mein aa ke bhi jo hosh se begana bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.