hai to manus pe gum-gashta nishani ki tarah
hai to mānūs pe gum-gashta nishānī kī tarah
vo mujhe yaad hai bachpan kī kahānī kī tarah
aap sāhil se mujhe dekhte rah jā.eñge
maiñ guzar jā.ūñgā bahte hue paanī kī tarah
aaj ke daur meñ raftār ajab vaqt kī hai
ab to bachpan bhī guzartā hai javānī kī tarah
sabr merā bhī kisī band kī mānind rahā
aur mizāj us kā bhī dariyā kī ravānī kī tarah
shah ke naukar ko ijāzat hai sitam kī 'āsim'
ādateñ ho ga.iiñ bāñdī kī bhī raanī kī tarah
hai to manus pe gum-gashta nishani ki tarah
wo mujhe yaad hai bachpan ki kahani ki tarah
aap sahil se mujhe dekhte rah jaenge
main guzar jaunga bahte hue pani ki tarah
aaj ke daur mein raftar ajab waqt ki hai
ab to bachpan bhi guzarta hai jawani ki tarah
sabr mera bhi kisi band ki manind raha
aur mizaj us ka bhi dariya ki rawani ki tarah
shah ke naukar ko ijazat hai sitam ki 'asim'
aadaten ho gain bandi ki bhi rani ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.