hai to pagDanDi nazar mein moatabar alfaz ki
hai to pagDanDī nazar meñ mo'atabar alfāz kī
le ke jā.egī kahāñ tak rahguzar alfāz kī
is se aage sirf to hai aur ma.ānī kā tilism
ab koī hikmat na hogī kārgar alfāz kī
kis galī meñ chhoḌ kar ruḳhsat huī parchhā.iyāñ
maiñ huuñ aur bebas sadā.eñ dar-ba-dar alfāz kī
ḳhāmushī ke in hare peḌoñ pe jaane kyā banī
āriyāñ chaltī sunī haiñ raat bhar alfāz kī
aur ik jazbe ne kāġhaz par abhī toḌā hai dam
rah ga.iiñ sab koshisheñ phir be-asar alfāz kī
tum ne jo pichhlī rutoñ meñ bo diye the harf kuchh
fasl ug aa.ī hai dekho bā-samar alfāz kī
hosh vāloñ ne use āḳhir mohazzab kar diyā
vo jo be-ḳhabarī thī laatī thī ḳhabar alfāz kī
jism se bāhar nikal aa.ī numā.ish ke liye
ḳhud-numā.ī kī havas thī kis qadar alfāz kī
hai to pagDanDi nazar mein mo'atabar alfaz ki
le ke jaegi kahan tak rahguzar alfaz ki
is se aage sirf to hai aur maani ka tilism
ab koi hikmat na hogi kargar alfaz ki
kis gali mein chhoD kar ruKHsat hui parchhaiyan
main hun aur bebas sadaen dar-ba-dar alfaz ki
KHamushi ke in hare peDon pe jaane kya bani
aariyan chalti suni hain raat bhar alfaz ki
aur ek jazbe ne kaghaz par abhi toDa hai dam
rah gain sab koshishen phir be-asar alfaz ki
tum ne jo pichhli ruton mein bo diye the harf kuchh
fasl ug aai hai dekho ba-samar alfaz ki
hosh walon ne use aaKHir mohazzab kar diya
wo jo be-KHabari thi lati thi KHabar alfaz ki
jism se bahar nikal aai numaish ke liye
KHud-numai ki hawas thi kis qadar alfaz ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.