hai tumko dawa-e-mehr-o-wafa to dard hoga hi
hai tumko dawa-e-mehr-o-wafa to dard hoga hi
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
hai tum ko dā'vā-e-mehr-o-vafā to dard hogā hī
'abas hī dard kā saudā kiyā to dard hogā hī
vahī chehra dikhāyā aa.ine ne jo tumhārā hai
hai ḳhud se tū agar nā-āshnā to dard hogā hī
muqaddar hai aTal to phir du'ā kī kyā zarūrat hai
karoge tum isī par iktifā to dard hogā hī
bahāroñ kā lahū shāmil hai us kī zau-fishānī meñ
ki gul khil kar agar murjhā gayā to dard hogā hī
nazar ke sāmne 'jauhar' baḌī mushkil se ho manzil
magar baḌhne lage ḳhud rāsta to dard hogā hī
hai tum ko da'wa-e-mehr-o-wafa to dard hoga hi
'abas hi dard ka sauda kiya to dard hoga hi
wahi chehra dikhaya aaine ne jo tumhaara hai
hai KHud se tu agar na-ashna to dard hoga hi
muqaddar hai aTal to phir du'a ki kya zarurat hai
karoge tum isi par iktifa to dard hoga hi
bahaaron ka lahu shamil hai us ki zau-fishani mein
ki gul khil kar agar murjha gaya to dard hoga hi
nazar ke samne 'jauhar' baDi mushkil se ho manzil
magar baDhne lage KHud rasta to dard hoga hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.