hai us ka haq ye ho parmatma se jis ki lag
hai us kā haq ye ho parmātmā se jis kī laag
kisī bhī shaḳhs kī mīrās to nahīñ bairāg
ḳhamosh baiTho na tum rakh ke haath par yuuñ haath
banāo jehd-e-musalsal se aap apne bhaag
kiyā fareb mohabbat se farsh vāloñ ne
barastī hai jo falak se muḳhāsamat kī aag
nishāt-o-ġham kā ajab imtizāj hai in meñ
ye mere saañs hī mere vajūd kā haiñ raag
ye tere azm ko manzil se qabl Das leñge
masāfatoñ meñ agar ham-safar haiñ ḳhauf ke raag
tamām shahr ke afrād so ga.e 'sā.ir'
mire zamīr kī āvāz hai musalsal jaag
hai us ka haq ye ho parmatma se jis ki lag
kisi bhi shaKHs ki miras to nahin bairag
KHamosh baiTho na tum rakh ke hath par yun hath
banao jehd-e-musalsal se aap apne bhag
kiya fareb mohabbat se farsh walon ne
barasti hai jo falak se muKHasamat ki aag
nishat-o-gham ka ajab imtizaj hai in mein
ye mere sans hi mere wajud ka hain rag
ye tere azm ko manzil se qabl Das lenge
masafaton mein agar ham-safar hain KHauf ke rag
tamam shahr ke afrad so gae 'sair'
mere zamir ki aawaz hai musalsal jag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.