hai wahi tishnagi saqiya phir mujhe
hai wahi tishnagi saqiya phir mujhe
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
hai vahī tishnagī sāqiyā phir mujhe
jaam se peshtar kuchh pilā phir mujhe
kis tarah dosto mai-kashī chhoḌ duuñ
jaam o mahfil se hai vāsta phir mujhe
chāñdnī raat meñ dil pareshān hai
chāñd tū yaad kyuuñ aa gayā phir mujhe
gar munāsib nahīñ mujh ko manzil mile
hai safar lāzmī kyuuñ ḳhudā phir mujhe
jis galī meñ mire dil ke TukḌe hue
dil vahīñ khīñch kar le chalā phir mujhe
haañ koī bhī hunar ḳhaas mujh meñ nahīñ
kyuuñ zamāna rahā DhūñDhtā phir mujhe
saath tum ho mire haath meñ jaam hai
hai ġham-e-zindagī ḳhvāh-maḳhvāh phir mujhe
hai wahi tishnagi saqiya phir mujhe
jam se peshtar kuchh pila phir mujhe
kis tarah dosto mai-kashi chhoD dun
jam o mahfil se hai wasta phir mujhe
chandni raat mein dil pareshan hai
chand tu yaad kyun aa gaya phir mujhe
gar munasib nahin mujh ko manzil mile
hai safar lazmi kyun KHuda phir mujhe
jis gali mein mere dil ke TukDe hue
dil wahin khinch kar le chala phir mujhe
han koi bhi hunar KHas mujh mein nahin
kyun zamana raha DhunDhta phir mujhe
sath tum ho mere hath mein jam hai
hai gham-e-zindagi KHwah-maKHwah phir mujhe
- Book : Izhaar (Pg. 23)
- Author : Jatinder Vir Yakhmi
- Publication : 6-A, Purnima, Ridge Road Malabar Hill,Mumbai-400 006 (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.