hai wasl agar is mein to furqat bhi bahut hai
hai vasl agar is meñ to furqat bhī bahut hai
ye 'ishq hai aur is meñ aziyyat bhī bahut hai
āsān nahīñ raah mohabbat kī divāne
ġham bhī hai bahut is meñ masarrat bhī bahut hai
āhista se kar detā hai vo chaak garebāñ
us māh-jabīñ ruḳh kī karāmāt bhī bahut hai
vaise to nahīñ dil meñ koī us ke 'alāva
aise to bahut bhiiḌ hai vus'at bhī bahut hai
aa aa ke mire kaan meñ letīñ haiñ tirā naam
sargosh havāoñ meñ sharārat bhī bahut hai
ik vaqt thā mahrūm thā har chiiz se 'in'ām'
ab naam hai rutba bhī hai shohrat bhī bahut hai
hai wasl agar is mein to furqat bhi bahut hai
ye 'ishq hai aur is mein aziyyat bhi bahut hai
aasan nahin rah mohabbat ki diwane
gham bhi hai bahut is mein masarrat bhi bahut hai
aahista se kar deta hai wo chaak gareban
us mah-jabin ruKH ki karamat bhi bahut hai
waise to nahin dil mein koi us ke 'alawa
aise to bahut bhiD hai wus'at bhi bahut hai
aa aa ke mere kan mein letin hain tera nam
sargosh hawaon mein shararat bhi bahut hai
ek waqt tha mahrum tha har chiz se 'in'am'
ab nam hai rutba bhi hai shohrat bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.