hai yaad-e-yar se ek aag mushtail dil mein
hai yād-e-yār se ik aag mushta.il dil meñ
ajab hai ḳhuld-o-jahannam haiñ muttasil dil meñ
jo chupke chupke hameñ kuchh kahe vo ap sune
paḌe usī ko jo kosegā ham ko dil dil meñ
karoge ab bhī burā.ī mai-e-muġhāñ kī shaiḳh
na kahiye muñh se magar hoge to ḳhajil dil meñ
ga.e vo paanī to multān ab gino maujeñ
kahāñ vo josh ab ai ashk pā-ba-gul dil meñ
ulū ye ḳhuub huā aap tum chale aa.e
maiñ kahtā hī thā ki aaj un se jā ke mil dil meñ
pakaḌ jo kal liyā chuskī lagāte zāhid ko
batā.ūñ kyā ki huā kaisā munfa.il dil meñ
hai yaad-e-yar se ek aag mushtail dil mein
ajab hai KHuld-o-jahannam hain muttasil dil mein
jo chupke chupke hamein kuchh kahe wo ap sune
paDe usi ko jo kosega hum ko dil dil mein
karoge ab bhi burai mai-e-mughan ki shaiKH
na kahiye munh se magar hoge to KHajil dil mein
gae wo pani to multan ab gino maujen
kahan wo josh ab ai ashk pa-ba-gul dil mein
ulu ye KHub hua aap tum chale aae
main kahta hi tha ki aaj un se ja ke mil dil mein
pakaD jo kal liya chuski lagate zahid ko
bataun kya ki hua kaisa munfail dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.