hai yaad josh ye jis waqt ashk-bari thi
hai yaad josh ye jis vaqt ashk-bārī thī
to ek nahr usī āstīñ se jaarī thī
zamīn-e-bāġh pe girte haiñ TuuT kar taare
sitāra-dār qabā us ne kyuuñ utārī thī
maiñ āñkheñ band kiye thā vo dekhte īdhar
jise vo samajhte the ġhaflat vo hoshiyārī thī
lahū ke ashk jo Tapke to khul gayā ye raaz
nigah thī dil meñ ki utrī huī kaTārī thī
milī hai dekhiye ye sub.h-e-hashr se jā kar
lahad kī raat na thī shām-e-ġham hamārī thī
nahīñ haiñ ham to chamaktā hai subah kā taarā
ye raat vo thī jo bīmār-e-ġham pe bhārī thī
hai yaad josh ye jis waqt ashk-bari thi
to ek nahr usi aastin se jari thi
zamin-e-bagh pe girte hain TuT kar tare
sitara-dar qaba us ne kyun utari thi
main aankhen band kiye tha wo dekhte idhar
jise wo samajhte the ghaflat wo hoshiyari thi
lahu ke ashk jo Tapke to khul gaya ye raaz
nigah thi dil mein ki utri hui kaTari thi
mili hai dekhiye ye subh-e-hashr se ja kar
lahad ki raat na thi sham-e-gham hamari thi
nahin hain hum to chamakta hai subah ka tara
ye raat wo thi jo bimar-e-gham pe bhaari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.