hai yaqin jis din chaman mein mohtaram ho jaenge
hai yaqīñ jis din chaman meñ mohtaram ho jā.eñge
kitnī āñkhoñ meñ ba-misl-e-ḳhār ham ho jā.eñge
tark kar deñ bolnā sach ham tumhāre ḳhauf se
ġham nahīñ hogā agar sar bhī qalam ho jā.eñge
tū batā rishta hai kyā terā vatan kī ḳhaak se
hai hameñ nisbat isī miTTī meñ zam ho jā.eñge
toḌnā itne sitam phūloñ pe ab achchhā nahīñ
shāḳh-e-gul se TuuT kar bikhre to bam ho jā.eñge
hausloñ meñ hai hamāre vo lachak ai āñdhiyo
be-asar ham par tumhāre sab sitam ho jā.eñge
baaz gar aa.e nahīñ fir.auniyat se hukmarāñ
kārvān-e-mūsvī kā ham alam ho jā.eñge
dekhnā TūTegā jis din sab kī nazroñ kā fusūñ
duur sab terī navāzish ke bharam ho jā.eñge
bas yūñhī chalte raho insāniyat kī raah par
haiñ muḳhālif jo tumhāre ham-qadam ho jā.eñge
sāya-e-dīvār par aañsū gireñge jab mire
chilchilātī dhuup ke dāman bhī nam ho jā.eñge
apnī dastār-e-ḳhudī hargiz na ashhar bechnā
haiñ ra.ūnat se tane jo sar bhī ḳham ho jā.eñge
hai yaqin jis din chaman mein mohtaram ho jaenge
kitni aankhon mein ba-misl-e-KHar hum ho jaenge
tark kar den bolna sach hum tumhaare KHauf se
gham nahin hoga agar sar bhi qalam ho jaenge
tu bata rishta hai kya tera watan ki KHak se
hai hamein nisbat isi miTTi mein zam ho jaenge
toDna itne sitam phulon pe ab achchha nahin
shaKH-e-gul se TuT kar bikhre to bam ho jaenge
hauslon mein hai hamare wo lachak ai aandhiyo
be-asar hum par tumhaare sab sitam ho jaenge
baz gar aae nahin firauniyat se hukmaran
karwan-e-muswi ka hum alam ho jaenge
dekhna TuTega jis din sab ki nazron ka fusun
dur sab teri nawazish ke bharam ho jaenge
bas yunhi chalte raho insaniyat ki rah par
hain muKHalif jo tumhaare ham-qadam ho jaenge
saya-e-diwar par aansu girenge jab mere
chilchilati dhup ke daman bhi nam ho jaenge
apni dastar-e-KHudi hargiz na ashhar bechna
hain raunat se tane jo sar bhi KHam ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.