hai yaqin mujhe mera ham-nashin meri is ada se KHafa nahin
hai yaqin mujhe mera ham-nashin meri is ada se KHafa nahin
Akhtar Husain Shaafi
MORE BYAkhtar Husain Shaafi
hai yaqīñ mujhe mirā ham-nashīñ mirī is adā se ḳhafā nahīñ
na jhukegā sar dar-e-husn par ki sanam sanam hai ḳhudā nahīñ
mirī aarzū mirī āshiqī hai junūñ kī shiddatoñ se barī
ye mazāq-e-nau hai baḌā ajab ki maiñ sirf tujh pe fidā nahīñ
zarā duur haiñ mirī manzileñ tū nazar uThā na ḳhafā ho yuuñ
mire ham-safar mirā rāsta tire rāste se judā nahīñ
hai jo ġham-zadoñ ke diloñ kā ġham vo hamāre dil kā bhī ġham bane
vo amiir ho ki ġharīb ho ye bashar bashar se judā nahīñ
jo ḳhushī milī hai vo kam sahī chalo ham sabhī use baañT leñ
na piye kisī kā koī lahū ki lahū hai zahr davā nahīñ
ye jo dil hai jām-e-ġharaz nahīñ ye makāñ tavīl-o-arīz hai
kisī dard ko na mile jagah mirā dil to aisā banā nahīñ
maiñ farār zaat se kyā karūñ hai ye zaat apne meñ kā.enāt
mujhe faḳhr hai mirī shā.irī mirī zindagī se judā nahīñ
hai yaqin mujhe mera ham-nashin meri is ada se KHafa nahin
na jhukega sar dar-e-husn par ki sanam sanam hai KHuda nahin
meri aarzu meri aashiqi hai junun ki shiddaton se bari
ye mazaq-e-nau hai baDa ajab ki main sirf tujh pe fida nahin
zara dur hain meri manzilen tu nazar uTha na KHafa ho yun
mere ham-safar mera rasta tere raste se juda nahin
hai jo gham-zadon ke dilon ka gham wo hamare dil ka bhi gham bane
wo amir ho ki gharib ho ye bashar bashar se juda nahin
jo KHushi mili hai wo kam sahi chalo hum sabhi use banT len
na piye kisi ka koi lahu ki lahu hai zahr dawa nahin
ye jo dil hai jam-e-gharaz nahin ye makan tawil-o-ariz hai
kisi dard ko na mile jagah mera dil to aisa bana nahin
main farar zat se kya karun hai ye zat apne mein kaenat
mujhe faKHr hai meri shairi meri zindagi se juda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.