hai ye ibtida gham-e-ishq ki abhi zahr-e-gham piya jaega
hai ye ibtidā ġham-e-ishq kī abhī zahr-e-ġham piyā jā.egā
kabhī chaak hogā ye pairahan kabhī pairahan siyā jā.egā
ye ajiib ahd-e-tilism hai yahāñ ziist maut kī qism hai
yahāñ terī baat se munharif tujhe barmalā kiyā jā.egā
pakī fasl kaTne se peshtar na.e sar ugānā na bhūlnā
hai qafas-garoñ se muqābla isī taur hī jiyā jā.egā
dar-e-dil pe ḳhushiyoñ kī dastakeñ jo sunīñ to dard sisak uThā
maiñ janam janam se yahāñ huuñ ab mujhe dar-ba-dar kiyā jā.egā
yahāñ saare raste paTe haiñ lāshoñ se in ke biich sañbhal ke chal
tū safīr-e-amn hai lauT jā tujhe rāsta diyā jā.egā
koī sang hai ki jidhar se aa.e usī kī samt uchhāl duuñ
ye mohabbatoñ kā javāb hai zarā soch kar diyā jā.egā
mere log kitne haiñ bā-ḳhabar mujhe is se pahle ḳhabar na thī
kisī aur shaḳhs kā tazkira mire naam se kiyā jā.egā
yahāñ un pe hogī giraft jin pe ho dostoñ kā gumāñ 'sadaf'
vo jo dushmanoñ kī safoñ meñ hai use saath le liyā jā.egā
hai ye ibtida gham-e-ishq ki abhi zahr-e-gham piya jaega
kabhi chaak hoga ye pairahan kabhi pairahan siya jaega
ye ajib ahd-e-tilism hai yahan zist maut ki qism hai
yahan teri baat se munharif tujhe barmala kiya jaega
paki fasl kaTne se peshtar nae sar ugana na bhulna
hai qafas-garon se muqabla isi taur hi jiya jaega
dar-e-dil pe KHushiyon ki dastaken jo sunin to dard sisak uTha
main janam janam se yahan hun ab mujhe dar-ba-dar kiya jaega
yahan sare raste paTe hain lashon se in ke bich sanbhal ke chal
tu safir-e-amn hai lauT ja tujhe rasta diya jaega
koi sang hai ki jidhar se aae usi ki samt uchhaal dun
ye mohabbaton ka jawab hai zara soch kar diya jaega
mere log kitne hain ba-KHabar mujhe is se pahle KHabar na thi
kisi aur shaKHs ka tazkira mere nam se kiya jaega
yahan un pe hogi giraft jin pe ho doston ka guman 'sadaf'
wo jo dushmanon ki safon mein hai use sath le liya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.