hai ye mearaj-e-fana soKHta-samanon ki
hai ye me.arāj-e-fanā soḳhta-sāmānoñ kī
rūheñ lipTī huī haiñ sham.a se parvānoñ kī
āñdhiy.oñ kī hai kamī koī na tūfānoñ kī
ai junūñ pūchh na vahshat ke bayābānoñ kī
kā.enāt itnī hī thī aap ke dīvānoñ kī
dhajjiyāñ marne pe kuchh niklīñ garebānoñ kī
dard-mandān-e-mohabbat jise dil kahte haiñ
ek ujḌī huī bastī hai vo armānoñ kī
aable paañv ke jangal meñ hue sīna-sipar
raah kāñToñ ne jo rokī tire dīvānoñ kī
tīr-o-paikāñ kī huī ḳhūn-e-jigar se dāvat
phir bhī ḳhātir meñ kamī rah ga.ī mehmānoñ kī
husn ke dam se hai duniyā-e-mohabbat ābād
sham.a kahte haiñ jise jaan hai parvānoñ kī
kah rahī haiñ ye marīzān-e-junūñ kī nabzeñ
beḌiyāñ Dhīlī huī jaatī haiñ dīvānoñ kī
raT zabāñ ko hai tire naam kī allāh allāh
zikr terā hī suneñ fikr ye hai kānoñ kī
us kī sūrat kā tasavvur nahīñ jis kī sūrat
kitnī dīvānī tamannā.eñ haiñ dīvānoñ kī
kuchh sharar aahoñ ke haiñ raakh meñ dil ke pinhāñ
yahī duniyā hai tire soḳhta-sāmānoñ kī
apnā siina hai ki hai ganj-e-shahīdāñ 'muztar'
ek duniyā yahīñ madfūn hai armānoñ kī
hai ye mearaj-e-fana soKHta-samanon ki
ruhen lipTi hui hain shama se parwanon ki
aandhiyon ki hai kami koi na tufanon ki
ai junun puchh na wahshat ke bayabanon ki
kaenat itni hi thi aap ke diwanon ki
dhajjiyan marne pe kuchh niklin garebanon ki
dard-mandan-e-mohabbat jise dil kahte hain
ek ujDi hui basti hai wo armanon ki
aable panw ke jangal mein hue sina-sipar
rah kanTon ne jo roki tere diwanon ki
tir-o-paikan ki hui KHun-e-jigar se dawat
phir bhi KHatir mein kami rah gai mehmanon ki
husn ke dam se hai duniya-e-mohabbat aabaad
shama kahte hain jise jaan hai parwanon ki
kah rahi hain ye marizan-e-junun ki nabzen
beDiyan Dhili hui jati hain diwanon ki
raT zaban ko hai tere nam ki allah allah
zikr tera hi sunen fikr ye hai kanon ki
us ki surat ka tasawwur nahin jis ki surat
kitni diwani tamannaen hain diwanon ki
kuchh sharar aahon ke hain rakh mein dil ke pinhan
yahi duniya hai tere soKHta-samanon ki
apna sina hai ki hai ganj-e-shahidan 'muztar'
ek duniya yahin madfun hai armanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.