hai ye to KHizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain
hai ye to KHizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
hai ye to ḳhizāñ ne ruup bharā ham jis ko bahārāñ kahte haiñ
bas ek nazar kā dhokā hai sab jis ko gulistāñ kahte haiñ
izzat bhī hai daulat bhī par ādamiyat kā naam nahīñ
ham kis ko hindū kahte haiñ ham kis ko musalmāñ kahte haiñ
kuchh der ho to ham sabr kareñ andher nahīñ dekhā jaatā
hai apne ghar meñ aag lagī sab jis ko charāġhāñ kahte haiñ
ai saath safar karne vaalo Thahro na yahāñ aage ko baḌho
ham jis ko manzil samjhe haiñ sab bhūl-bhulayyāñ kahte haiñ
jab aql mujhe samjhātī hai behosh na ho nādān na ban
dil se ġham-e-jānāñ kahtā hai us ko ġham-e-daurāñ kahte haiñ
haiñ dafn yahāñ daulat vaale tāqat vaale izzat vaale
qudrat kā dafīna hai jis ko ham gor-e-ġharībāñ kahte haiñ
pī ġhāfil ab parhez na kar kuchh talḳh sahī kuchh tez sahī
le de ke yahī hai ek davā-e-gardish-e-daurāñ kahte haiñ
maiḳhāne ke phere kartā hai ab vaa.iz 'beḳhud' sunte haiñ
us ne bhī shāyad bāñdh liyā paimāne se paimāñ kahte haiñ
hai ye to KHizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain
bas ek nazar ka dhoka hai sab jis ko gulistan kahte hain
izzat bhi hai daulat bhi par aadamiyat ka nam nahin
hum kis ko hindu kahte hain hum kis ko musalman kahte hain
kuchh der ho to hum sabr karen andher nahin dekha jata
hai apne ghar mein aag lagi sab jis ko charaghan kahte hain
ai sath safar karne walo Thahro na yahan aage ko baDho
hum jis ko manzil samjhe hain sab bhul-bhulayyan kahte hain
jab aql mujhe samjhati hai behosh na ho nadan na ban
dil se gham-e-jaanan kahta hai us ko gham-e-dauran kahte hain
hain dafn yahan daulat wale taqat wale izzat wale
qudrat ka dafina hai jis ko hum gor-e-ghariban kahte hain
pi ghafil ab parhez na kar kuchh talKH sahi kuchh tez sahi
le de ke yahi hai ek dawa-e-gardish-e-dauran kahte hain
maiKHane ke phere karta hai ab waiz 'beKHud' sunte hain
us ne bhi shayad bandh liya paimane se paiman kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.