hai zaban-bandi ka mausam bastiyan KHamosh hain
hai zabāñ-bandī kā mausam bastiyāñ ḳhāmosh haiñ
saare dar ḳhāmosh haiñ rahdāriyāñ ḳhāmosh haiñ
ḳhauf-o-ġham kī is fazā meñ jī rahe haiñ is tarah
tum vahāñ ḳhāmosh ho aur ham yahāñ ḳhāmosh haiñ
ye ḳhamoshī pesh-ḳhema hai kisī tūfān kā
zaḳhm nauhagar haiñ mere siskiyāñ ḳhāmosh haiñ
ham uThā leñge tumheñ bhī had se jo aage baḌhīñ
ye sunā to maa.eñ bahneñ beTiyāñ ḳhāmosh haiñ
faisla vo hī karegā ye huā hai faisla
jis ke Dar se shahr kī sab hastiyāñ ḳhāmosh haiñ
hai zaban-bandi ka mausam bastiyan KHamosh hain
sare dar KHamosh hain rahdariyan KHamosh hain
KHauf-o-gham ki is faza mein ji rahe hain is tarah
tum wahan KHamosh ho aur hum yahan KHamosh hain
ye KHamoshi pesh-KHema hai kisi tufan ka
zaKHm nauhagar hain mere siskiyan KHamosh hain
hum uTha lenge tumhein bhi had se jo aage baDhin
ye suna to maen bahnen beTiyan KHamosh hain
faisla wo hi karega ye hua hai faisla
jis ke Dar se shahr ki sab hastiyan KHamosh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.