hai zarre zarre mein jalwa-paira jamal tera shabab tera
hai zarre zarre mein jalwa-paira jamal tera shabab tera
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
hai zarre zarre meñ jalva-pairā jamāl terā shabāb terā
kisī ke dast-e-nigah ne ruḳh se ulaT diyā kyā naqāb terā
ye ruḳh pe sabza ye ġhuncha sā lab ye nargisī chashm sarv qāmat
huī hai takmīl-e-husn jis se vo hai mukammal shabāb terā
tujhe ḳhabar bhī hai ai falak kuchh ye kyā haqīqat hai raaz kyā hai
vo hai dil-e-dāġhdār merā samajh na tū āftāb terā
jo kātibān-e-amal the kāñdhoñ se mere vo haT ga.e ye kah kar
ki ho ga.ī pur kitāb terī kahāñ likheñ ham hisāb terā
ḳhudā hai tū tere ham haiñ bande hameñ nahīñ koī bahs is meñ
hamāre haq meñ hai ain rahmat savāb terā azaab terā
maiñ dekh letā jo tere jalve to ye taḌap ye kashish na hotī
idhar hai maa.il nigāh terī udhar hai haa.il hijāb terā
na ye hī bas meñ na vo hī bas meñ tū hī batā de ki kyā karūñ maiñ
idhar haiñ muztar nigāheñ merī udhar hai maane hijāb terā
firāq meñ un ke zindagī bhar jo taḌpe sābir to kuchh na taḌpe
maza to jab hai ki ba.ad-e-murdan bhī kam na ho iztirāb terā
hai zarre zarre mein jalwa-paira jamal tera shabab tera
kisi ke dast-e-nigah ne ruKH se ulaT diya kya naqab tera
ye ruKH pe sabza ye ghuncha sa lab ye nargisi chashm sarw qamat
hui hai takmil-e-husn jis se wo hai mukammal shabab tera
tujhe KHabar bhi hai ai falak kuchh ye kya haqiqat hai raaz kya hai
wo hai dil-e-daghdar mera samajh na tu aaftab tera
jo katiban-e-amal the kandhon se mere wo haT gae ye kah kar
ki ho gai pur kitab teri kahan likhen hum hisab tera
KHuda hai tu tere hum hain bande hamein nahin koi bahs is mein
hamare haq mein hai ain rahmat sawab tera azab tera
main dekh leta jo tere jalwe to ye taDap ye kashish na hoti
idhar hai mail nigah teri udhar hai hail hijab tera
na ye hi bas mein na wo hi bas mein tu hi bata de ki kya karun main
idhar hain muztar nigahen meri udhar hai mane hijab tera
firaq mein un ke zindagi bhar jo taDpe sabir to kuchh na taDpe
maza to jab hai ki baad-e-murdan bhi kam na ho iztirab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.