haif hai aisi zindagani par
haif hai aisī zindagānī par
ki fidā ho na yār-e-jānī par
terī gul-kārī abr ho barbād
gar fidā ho na yār-e-jānī par
haal sun sun ke hañs diyā merā
kuchh to aayā hai mehrbānī par
ḳhuun kushtoñ ke ho gayā dil kā
terī dastār-e-arġhavānī par
raat 'bedār' vo mah-e-tābāñ
sun ke royā mirī kahānī par
haif hai aisi zindagani par
ki fida ho na yar-e-jaani par
teri gul-kari abr ho barbaad
gar fida ho na yar-e-jaani par
haal sun sun ke hans diya mera
kuchh to aaya hai mehrbani par
KHun kushton ke ho gaya dil ka
teri dastar-e-arghawani par
raat 'bedar' wo mah-e-taban
sun ke roya meri kahani par
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.