hain ahl-e-nazar yahan pe sabhi ghalat koi kaam ho na sake
haiñ ahl-e-nazar yahāñ pe sabhī ġhalat koī kaam ho na sake
sharāb-e-kuhan vo pī ke chale jo mast-e-ḳhirām ho na sake
na koī lagan na dil meñ chubhan na rashk-e-suḳhan na rañg-e-chaman
nahīñ thā jinheñ shu.ūr-e-vafā vo 'aalī maqām ho na sake
jo tīra-shabī ne chhoḌā mujhe to dil se mire uThī ye sadā
ujāle zarā ḳhayāl rahe sahar kabhī shaam ho na sake
the hoñT mire usī ke liye zamāne se be-qarār magar
ye qaid mujhe lagā dī ga.ī ki lab pe vo naam ho na sake
lahū meñ nahā ke vo hī chalā likhā thā jabīñ pe jis kī ḳhudā
the aur bhī da.ave-dār yahāñ magar vo imaam ho na sake
ḳharīd ke lā na pāoge tum mileñge nahīñ dūkāñ pe usuul
the sāhab-e-zar hazār magar vafā ke ġhulām ho na sake
bañdhā ke mirī umiid kisī ne duur kahīñ khilā.e gulāb
thā shauq-e-junūñ balā kā magar payām-o-salām ho na sake
hain ahl-e-nazar yahan pe sabhi ghalat koi kaam ho na sake
sharab-e-kuhan wo pi ke chale jo mast-e-KHiram ho na sake
na koi lagan na dil mein chubhan na rashk-e-suKHan na rang-e-chaman
nahin tha jinhen shuur-e-wafa wo 'ali maqam ho na sake
jo tira-shabi ne chhoDa mujhe to dil se mere uThi ye sada
ujale zara KHayal rahe sahar kabhi sham ho na sake
the honT mere usi ke liye zamane se be-qarar magar
ye qaid mujhe laga di gai ki lab pe wo nam ho na sake
lahu mein naha ke wo hi chala likha tha jabin pe jis ki KHuda
the aur bhi dawe-dar yahan magar wo imam ho na sake
KHarid ke la na paoge tum milenge nahin dukan pe usul
the sahab-e-zar hazar magar wafa ke ghulam ho na sake
bandha ke meri umid kisi ne dur kahin khilae gulab
tha shauq-e-junun bala ka magar payam-o-salam ho na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.