hain baam-o-dar ke jism kaTe aur jale hue
haiñ bām-o-dar ke jism kaTe aur jale hue
galiyoñ ke pairahan haiñ lahū meñ bhare hue
jangal kī raat ho ga.ī ābādiyoñ kī raat
haiñ kunj-kunj ḳhauf-zada jāgte hue
ai ahl-e-shahr aisī bhī kyā be-ruḳhī ki ham
pardes to ḳhushī se nahīñ the ga.e hue
maiñ vo nahīñ rahā ki ye vo shahr hī nahīñ
yaar āshnā kahāñ ki haiñ dushman khiñche hue
ham ko bhī tum se pursish-e-ġham kī umiid thī
duniyā meñ tum se duur ka.ī hādse hue
sab ġham-zada haiñ kis pe gumāñ kiije qatl kā
maqtūl ke janāze meñ sab haiñ ga.e hue
kaisā gila kahāñ kā taqāzā kahāñ savāl
vo sar se paañv tak haiñ taġhāful bane hue
phirte ho kis ko pūchhte 'qaisī' ke naam se
us shaḳhs ko zamāna huā hai mare hue
hain baam-o-dar ke jism kaTe aur jale hue
galiyon ke pairahan hain lahu mein bhare hue
jangal ki raat ho gai aabaadiyon ki raat
hain kunj-kunj KHauf-zada jagte hue
ai ahl-e-shahr aisi bhi kya be-ruKHi ki hum
pardes to KHushi se nahin the gae hue
main wo nahin raha ki ye wo shahr hi nahin
yar aashna kahan ki hain dushman khinche hue
hum ko bhi tum se pursish-e-gham ki umid thi
duniya mein tum se dur kai hadse hue
sab gham-zada hain kis pe guman kije qatl ka
maqtul ke janaze mein sab hain gae hue
kaisa gila kahan ka taqaza kahan sawal
wo sar se panw tak hain taghaful bane hue
phirte ho kis ko puchhte 'qaisi' ke nam se
us shaKHs ko zamana hua hai mare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.