hain bahut kaam zindagi ke pas
haiñ bahut kaam zindagī ke paas
nahīñ ruknā hai bas mujhī ke paas
milne aanā to aise aanā tum
chhoḌ ke vaqt ko ghaḌī ke paas
rok rakhā thā vaqt jis ke liye
nahīñ hai vaqt ab usī ke paas
dost ham haiñ kisī ke Thukrā.e
jā nahīñ sakte ab kisī ke paas
dekhnā kaun chāhe vaqt apnā
aañkh jaatī hai ḳhud ghaḌī ke paas
yaad aatī haiñ jhiil sī āñkheñ
baiThe rahte haiñ ham nadī ke paas
hain bahut kaam zindagi ke pas
nahin rukna hai bas mujhi ke pas
milne aana to aise aana tum
chhoD ke waqt ko ghaDi ke pas
rok rakha tha waqt jis ke liye
nahin hai waqt ab usi ke pas
dost hum hain kisi ke Thukrae
ja nahin sakte ab kisi ke pas
dekhna kaun chahe waqt apna
aankh jati hai KHud ghaDi ke pas
yaad aati hain jhil si aankhen
baiThe rahte hain hum nadi ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.