hain dariche na khiDkiyan ghar mein
haiñ darīche na khiḌkiyāñ ghar meñ
kyoñ bhalā ḳhush hoñ beTiyāñ ghar meñ
ab havāoñ meñ dahshateñ haiñ bahut
chup sī baiThī haiñ titliyāñ ghar meñ
khol hī deñgī pol rishtoñ kā
baḌh rahī haiñ jo dūriyāñ ghar meñ
lāDlī jab ga.ī hai apne ghar
be-sabab kyoñ haiñ siskiyāñ ghar meñ
hain dariche na khiDkiyan ghar mein
kyon bhala KHush hon beTiyan ghar mein
ab hawaon mein dahshaten hain bahut
chup si baiThi hain titliyan ghar mein
khol hi dengi pol rishton ka
baDh rahi hain jo duriyan ghar mein
laDli jab gai hai apne ghar
be-sabab kyon hain siskiyan ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.