hain dil jigar hamare ye mahr-o-mah donon
haiñ dil jigar hamāre ye mahr-o-māh donoñ
pahuñche haiñ āsmāñ pe ham-rāh-e-āh donoñ
hai bazm-e-be-vafā.ī raunaq-e-pazīr in se
raushan raheñ ye terī chashm-e-siyāh donoñ
ai turk-e-chashm terī ḳhūñ-rezī-e-mizha se
pīTeñ haiñ sar gunahgār aur be-gunāh donoñ
bīmār dil ke hamdam ik dard-o-ġham the so bhī
bahr-ayādat aate haiñ gaah gaah donoñ
koī zulf ko kahe zulf kākul ko samjhe kākul
apnī nazar meñ to haiñ mār-e-siyāh donoñ
tanhā kaTegī kyuuñ kar ai sail-e-ashk kah tū
hamdam dil o jigar the ho ga.e tabāh donoñ
kyā shaiḳh kyā barahman haiñ pher meñ duī ke
gumrāh ho ga.e haiñ bhūle haiñ raah donoñ
hain dil jigar hamare ye mahr-o-mah donon
pahunche hain aasman pe ham-rah-e-ah donon
hai bazm-e-be-wafai raunaq-e-pazir in se
raushan rahen ye teri chashm-e-siyah donon
ai turk-e-chashm teri KHun-rezi-e-mizha se
piTen hain sar gunahgar aur be-gunah donon
bimar dil ke hamdam ek dard-o-gham the so bhi
bahr-ayaadat aate hain gah gah donon
koi zulf ko kahe zulf kakul ko samjhe kakul
apni nazar mein to hain mar-e-siyah donon
tanha kaTegi kyun kar ai sail-e-ashk kah tu
hamdam dil o jigar the ho gae tabah donon
kya shaiKH kya barahman hain pher mein dui ke
gumrah ho gae hain bhule hain rah donon
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.