hain din jo KHauf ke sae mein raat sahmi hui
haiñ din jo ḳhauf ke saa.e meñ raat sahmī huī
dikhā.ī dene lagī kā.enāt sahmī huī
qadam qadam pe hai ik aisī maut kā saayā
gharoñ meñ rah ke bhī hai ye hayāt sahmī huī
yahāñ hoñ aaj re.āyā ki zill-e-sub.hānī
koī nahīñ hai na ho jis kī zaat sahmī huī
sile hue to nahīñ haiñ hamāre hoñT magar
jo bolte haiñ nikaltī hai baat sahmī huī
bahā rahī hai nadāmat kuchh is tarah aañsū
ki jaise niklī ho koī barāt sahmī huī
gunāh duniyā meñ har-sū haiñ sar uThā.e hue
kahīñ khaḌī hai kināre najāt sahmī huī
kahāñ se ā.eñge 'shāhid' ḳhushī ke mutarādif
hai lafz lafz hamārī luġhāt sahmī huī
hain din jo KHauf ke sae mein raat sahmi hui
dikhai dene lagi kaenat sahmi hui
qadam qadam pe hai ek aisi maut ka saya
gharon mein rah ke bhi hai ye hayat sahmi hui
yahan hon aaj reaya ki zill-e-subhani
koi nahin hai na ho jis ki zat sahmi hui
sile hue to nahin hain hamare honT magar
jo bolte hain nikalti hai baat sahmi hui
baha rahi hai nadamat kuchh is tarah aansu
ki jaise nikli ho koi baraat sahmi hui
gunah duniya mein har-su hain sar uThae hue
kahin khaDi hai kinare najat sahmi hui
kahan se aaenge 'shahid' KHushi ke mutaradif
hai lafz lafz hamari lughat sahmi hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.