hain jitne bhi rup zindagi ke kisi pe na etibar aaya
haiñ jitne bhī ruup zindagī ke kisī pe na e'tibār aayā
vahāñ se dāman bachā ke guzre jahāñ pe koī farār aayā
huī jo taqsīm rāhatoñ kī ināyatoñ kī yā chāhatoñ kī
kisī ke hisse meñ nā-rasā.ī kisī ke bas intizār aayā
vo jis se dil ke haiñ diip jalte bas ek chehra hai shahar bhar meñ
us ek chehre pe jaane kaise hamārā dil baar baar aayā
havāoñ kī thī adā nirālī ghaTā.eñ chhā.ī thiiñ kaalī kaalī
sambhāle dil muntazir rahe ham na abr barsā na yaar aayā
jinheñ nibhāne meñ umr biitī unheñ gañvāyā bas ek pal meñ
vahīñ pe rishtoñ kā maan TuuTā jahāñ diloñ meñ ġhubār aayā
ye dil bhī kaisī ajiib shai hai vo māñge jo ki na mil sake hai
jo duur hai us kī dastaras se usī pe ḳhud ko hai haar aayā
hain jitne bhi rup zindagi ke kisi pe na e'tibar aaya
wahan se daman bacha ke guzre jahan pe koi farar aaya
hui jo taqsim rahaton ki inayaton ki ya chahaton ki
kisi ke hisse mein na-rasai kisi ke bas intizar aaya
wo jis se dil ke hain dip jalte bas ek chehra hai shahar bhar mein
us ek chehre pe jaane kaise hamara dil bar bar aaya
hawaon ki thi ada nirali ghaTaen chhai thin kali kali
sambhaale dil muntazir rahe hum na abr barsa na yar aaya
jinhen nibhane mein umr biti unhen ganwaya bas ek pal mein
wahin pe rishton ka man TuTa jahan dilon mein ghubar aaya
ye dil bhi kaisi ajib shai hai wo mange jo ki na mil sake hai
jo dur hai us ki dastaras se usi pe KHud ko hai haar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.