hain kab se pyasi ye meri aankhen magar nazar mein nadi nahin hai
haiñ kab se pyāsī ye merī āñkheñ magar nazar meñ nadī nahīñ hai
ufaan par haiñ ka.ī samundar badan-nagar meñ nadī nahīñ hai
mujhe ye Dar hai ki ham sabhī log ek din Duub kar mareñge
magar maiñ ye bhī batā rahā huuñ ki mere Dar meñ nadī nahīñ hai
bahut sī sairābiyāñ yahāñ pe taḌaptī haiñ tishnagī kī ḳhātir
nadī meñ kaisā bhañvar banā hai ki is bhañvar meñ nadī nahīñ hai
ajiib sā ye safar hai merā maiñ kashtī kashtī bhaTak rahā huuñ
bhañvar kinārā ravānī chhoḌo mire safar meñ nadī nahīñ hai
ravāñ-davāñ pyaas ye junūñ kī bahā na le jaa.e hosh mere
magar bujhā de ye pyaas aisī jahān bhar meñ nadī nahīñ hai
hain kab se pyasi ye meri aankhen magar nazar mein nadi nahin hai
ufan par hain kai samundar badan-nagar mein nadi nahin hai
mujhe ye Dar hai ki hum sabhi log ek din Dub kar marenge
magar main ye bhi bata raha hun ki mere Dar mein nadi nahin hai
bahut si sairabiyan yahan pe taDapti hain tishnagi ki KHatir
nadi mein kaisa bhanwar bana hai ki is bhanwar mein nadi nahin hai
ajib sa ye safar hai mera main kashti kashti bhaTak raha hun
bhanwar kinara rawani chhoDo mere safar mein nadi nahin hai
rawan-dawan pyas ye junun ki baha na le jae hosh mere
magar bujha de ye pyas aisi jahan bhar mein nadi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.