hain KHwahishat ziyaada jahan kuchh kam hai
haiñ ḳhvāhishāt ziyāda jahān kuchh kam hai
kahīñ zamīñ to kahīñ āsmān kuchh kam hai
har ek pal yahī ehsās khaa.e jaatā hai
zarūratoñ ke mutābiq makān kuchh kam hai
ai zindagī maiñ tirī chhāñv ko tarastā huuñ
jahāñ hai dhuup vahīñ sā.ebān kuchh kam hai
har ek lafz pe ehsās hotā jaatā hai
sunā.e haq ko hamārī zabān kuchh kam hai
tumhārā dil bhī kahīñ aur lag gayā hai 'nūr'
so vo bhī pahle se ab mehrbān kuchh kam hai
hain KHwahishat ziyaada jahan kuchh kam hai
kahin zamin to kahin aasman kuchh kam hai
har ek pal yahi ehsas khae jata hai
zaruraton ke mutabiq makan kuchh kam hai
ai zindagi main teri chhanw ko tarasta hun
jahan hai dhup wahin saeban kuchh kam hai
har ek lafz pe ehsas hota jata hai
sunae haq ko hamari zaban kuchh kam hai
tumhaara dil bhi kahin aur lag gaya hai 'nur'
so wo bhi pahle se ab mehrban kuchh kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.