hain motaqid-e-saqi yaran-e-haram kitne
haiñ mo'taqid-e-sāqī yārān-e-haram kitne
ka.abe se ḳhumistāñ tak haiñ naqsh-e-qadam kitne
vaa.iz kā gila kyā jab sochā na barahman ne
ik dil ke banāne meñ kaam aa.e sanam kitne
us jān-e-taġhāful kī taklīf-e-tabassum se
aañsū hue jaate haiñ shā.ista-e-ġham kitne
nāmūs-e-ta.alluq kī saugand zarā socho
bargashta ho tum kitne vārafta haiñ ham kitne
piine kī nahīñ lekin laġhzish kī parakh hogī
ab dekhiye mahfil meñ khulte haiñ bharam kitne
ye baat batā kar ham kyoñ ġham ko kareñ rusvā
haiñ ahl-e-karam kitne haiñ ahl-e-sitam kitne
arbāb-e-alam aañsū piite hī ga.e phir bhī
dekho to zarā 'jauhar' dāman hue nam kitne
hain mo'taqid-e-saqi yaran-e-haram kitne
kabe se KHumistan tak hain naqsh-e-qadam kitne
waiz ka gila kya jab socha na barahman ne
ek dil ke banane mein kaam aae sanam kitne
us jaan-e-taghaful ki taklif-e-tabassum se
aansu hue jate hain shaista-e-gham kitne
namus-e-talluq ki saugand zara socho
bargashta ho tum kitne warafta hain hum kitne
pine ki nahin lekin laghzish ki parakh hogi
ab dekhiye mahfil mein khulte hain bharam kitne
ye baat bata kar hum kyon gham ko karen ruswa
hain ahl-e-karam kitne hain ahl-e-sitam kitne
arbab-e-alam aansu pite hi gae phir bhi
dekho to zara 'jauhar' daman hue nam kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.