hain munfarid amal se ye guftar se alag
haiñ munfarid amal se ye guftār se alag
rahbar judā haiñ qaul se kirdār se alag
hoñge na ġhair ke sitam-āzār se alag
jab tak na hoñge ham saf-e-aġhyār se alag
qasr-e-ḳhulūs ho gayā mismār is tarah
baiThe haiñ log sāya-e-dīvār se alag
tahzīb ke zavāl pe hairat na kījiye
ye ahd-e-nau hai sābiqa advār se alag
kar lete haiñ ye jumbish-e-abrū se guftugū
haiñ ahl-e-ishq zahmat-e-iz.hār se alag
tark-e-hayā ne chhīn liyā mah-vashoñ kā husn
be-qadr haiñ ye ho ke hayā-dār se alag
sarmāya-e-hayāt mohabbat vafā ḳhulūs
daulat hai apnī daulat-e-zardār se alag
shān-e-ḳhudī bachā.e hue maslahat se duur
maiñ jī rahā huuñ vaqt kī raftār se alag
'ahsan' ko aarzū nahīñ nām-o-numūd kī
rakhtā hai ḳhud ko kūcha-o-bāzār se alag
hain munfarid amal se ye guftar se alag
rahbar juda hain qaul se kirdar se alag
honge na ghair ke sitam-azar se alag
jab tak na honge hum saf-e-aghyar se alag
qasr-e-KHulus ho gaya mismar is tarah
baiThe hain log saya-e-diwar se alag
tahzib ke zawal pe hairat na kijiye
ye ahd-e-nau hai sabiqa adwar se alag
kar lete hain ye jumbish-e-abru se guftugu
hain ahl-e-ishq zahmat-e-izhaar se alag
tark-e-haya ne chhin liya mah-washon ka husn
be-qadr hain ye ho ke haya-dar se alag
sarmaya-e-hayat mohabbat wafa KHulus
daulat hai apni daulat-e-zardar se alag
shan-e-KHudi bachae hue maslahat se dur
main ji raha hun waqt ki raftar se alag
'ahsan' ko aarzu nahin nam-o-numud ki
rakhta hai KHud ko kucha-o-bazar se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.