hain nadan jo bhi insan unki nadani nahin jati
haiñ nādāñ jo bhī insāñ un kī nādānī nahīñ jaatī
vo laḌte rahte haiñ aur ḳhū-e-haivānī nahīñ jaatī
salaf ne jo banā.e the vo aivāñ miT nahīñ sakte
khaḌe haiñ sar uThā.e shān-e-aivānī nahīñ jaatī
jahāñ meñ nek ḳhaslat nek niyyat jo bhī hote haiñ
javānī meñ bhī un kī pāk-dāmānī nahīñ jaatī
sitāroñ se fazā shab ko munavvar hotī rahtī hai
magar un meñ jo poshīda hai vīrānī nahīñ jaatī
taḳhayyul meñ tasavvur meñ vo mere paas hote haiñ
nigāhoñ se zarā un kī nigahbānī nahīñ jaatī
zamāne meñ hamārā ḳhuuñ bahut arzāñ hai ai 'bāsir'
kisī sūrat hamāre ḳhuuñ kī arzānī nahīñ jaatī
hain nadan jo bhi insan un ki nadani nahin jati
wo laDte rahte hain aur KHu-e-haiwani nahin jati
salaf ne jo banae the wo aiwan miT nahin sakte
khaDe hain sar uThae shan-e-aiwani nahin jati
jahan mein nek KHaslat nek niyyat jo bhi hote hain
jawani mein bhi un ki pak-damani nahin jati
sitaron se faza shab ko munawwar hoti rahti hai
magar un mein jo poshida hai virani nahin jati
taKHayyul mein tasawwur mein wo mere pas hote hain
nigahon se zara un ki nigahbani nahin jati
zamane mein hamara KHun bahut arzan hai ai 'basir'
kisi surat hamare KHun ki arzani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.