hain reg-zar-e-waqt pe sare nishan kahan
haiñ reg-zār-e-vaqt pe saare nishāñ kahāñ
kyā jaane zindagī kā gayā kārvāñ kahāñ
ārām lene detā hai daur-e-zamāñ kahāñ
Thahre jo raah meñ to ruke kārvāñ kahāñ
bachtā hai baaḌh bāñdhe se bhī gulsitāñ kahāñ
ruktī hai rokne se bhī aatī ḳhizāñ kahāñ
zindāñ kahāñ sulagtā huā āshiyāñ kahāñ
pahuñchā sunāmī le ke kahāñ se dhuāñ kahāñ
ham ne tumheñ kiyā hai ġham-e-dil bayāñ kahāñ
duniyā magar samajhtī hai dil kī zabāñ kahāñ
hai faḳhr kī ye baat ki vo ham ko āzmā.eñ
varna har ik kā hotā hai yuuñ imtihāñ kahāñ
duniyā meñ aadmī ko sukūñ kī talāsh thī
dīvāna-vār DhūñDhā hai us ko kahāñ kahāñ
ham apne hī vajūd ke sahrā meñ kho ga.e
āḳhir talāsh karte kisī kā nishāñ kahāñ
apnī bisāt bhar to uḌā aadmī magar
ye ek musht-e-ḳhāk kahāñ āsmāñ kahāñ
jis meñ laboñ ke saath gum āhañg-e-dil bhī ho
insān hone paatā hai yuuñ shādmāñ kahāñ
koī na ho to rahtī hai parchhā.īñ apne saath
sūraj kī raushnī meñ haiñ tanhā.iyāñ kahāñ
hotā hai dostoñ hī se ārām-e-jāñ nasīb
sab ko magar nasīb ye ārām-e-jāñ kahāñ
jaanā thā ruuh ko to badan se nikal ga.ī
sāñseñ ulajh ulajh ke ye bolīñ kahāñ kahāñ
jiine kī zimmedāriyāñ kyoñ ham ne kiiñ qubūl
ab pheñk aa.eñ jā ke ye bār-e-garāñ kahāñ
yaaro mujhe añdhere meñ tum chhoḌ to ga.e
mujh se chhupā ga.e mirī parchhā.iyāñ kahāñ
jab tīrgī meñ jismoñ kī pahchān hai muhāl
paikar ko apne DhūñDheñgī parchhā.iyāñ kahāñ
jis meñ sukūñ ho ġham kī rasā.ī jahāñ na ho
aisī koī zamīn kahāñ āsmāñ kahāñ
tārāji-e-chaman kā nazāra to dekh jaao
phir dekhne ko pāoge aisā samāñ kahāñ
qurbānī dene vaale to barbād ho ga.e
qurbāniyāñ huī haiñ magar rā.egāñ kahāñ
jo ek dūsre kī haqīqat chhupā sake
aisā hijāb un ke mire darmiyāñ kahāñ
kyoñ ustuvār tum ne azal meñ kiyā use
ab TūTtā hai rābta-e-jism-o-jāñ kahāñ
kitnī hī vārdāteñ bayāñ ho nahīñ sakīñ
puurī huī hai dil kī abhī dāstāñ kahāñ
har daur meñ lage hue tañgi-e-dil ke qufl
hogā ġharīb-e-shahr koī mehmāñ kahāñ
tum sāmne ho aur maiñ gum apne aap meñ
pahuñchā diyā ye tum ne mujhe nā-gahāñ kahāñ
kah leñ 'sarosh' koī ġhazal ik nashist meñ
dhārā ab apnī fikr kā aisā ravāñ kahāñ
hain reg-zar-e-waqt pe sare nishan kahan
kya jaane zindagi ka gaya karwan kahan
aaram lene deta hai daur-e-zaman kahan
Thahre jo rah mein to ruke karwan kahan
bachta hai baDh bandhe se bhi gulsitan kahan
rukti hai rokne se bhi aati KHizan kahan
zindan kahan sulagta hua aashiyan kahan
pahuncha sunami le ke kahan se dhuan kahan
hum ne tumhein kiya hai gham-e-dil bayan kahan
duniya magar samajhti hai dil ki zaban kahan
hai faKHr ki ye baat ki wo hum ko aazmaen
warna har ek ka hota hai yun imtihan kahan
duniya mein aadmi ko sukun ki talash thi
diwana-war DhunDha hai us ko kahan kahan
hum apne hi wajud ke sahra mein kho gae
aaKHir talash karte kisi ka nishan kahan
apni bisat bhar to uDa aadmi magar
ye ek musht-e-KHak kahan aasman kahan
jis mein labon ke sath gum aahang-e-dil bhi ho
insan hone pata hai yun shadman kahan
koi na ho to rahti hai parchhain apne sath
suraj ki raushni mein hain tanhaiyan kahan
hota hai doston hi se aaram-e-jaan nasib
sab ko magar nasib ye aaram-e-jaan kahan
jaana tha ruh ko to badan se nikal gai
sansen ulajh ulajh ke ye bolin kahan kahan
jine ki zimmedariyan kyon hum ne kin qubul
ab phenk aaen ja ke ye bar-e-garan kahan
yaro mujhe andhere mein tum chhoD to gae
mujh se chhupa gae meri parchhaiyan kahan
jab tirgi mein jismon ki pahchan hai muhaal
paikar ko apne DhunDhengi parchhaiyan kahan
jis mein sukun ho gham ki rasai jahan na ho
aisi koi zamin kahan aasman kahan
taraji-e-chaman ka nazara to dekh jao
phir dekhne ko paoge aisa saman kahan
qurbani dene wale to barbaad ho gae
qurbaniyan hui hain magar raegan kahan
jo ek dusre ki haqiqat chhupa sake
aisa hijab un ke mere darmiyan kahan
kyon ustuwar tum ne azal mein kiya use
ab TuTta hai rabta-e-jism-o-jaan kahan
kitni hi wardaten bayan ho nahin sakin
puri hui hai dil ki abhi dastan kahan
har daur mein lage hue tangi-e-dil ke qufl
hoga gharib-e-shahr koi mehman kahan
tum samne ho aur main gum apne aap mein
pahuncha diya ye tum ne mujhe na-gahan kahan
kah len 'sarosh' koi ghazal ek nashist mein
dhaara ab apni fikr ka aisa rawan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.