hain sabse madhur wo git jinhen hum dard ke sur mein gate hain
haiñ sabse madhur vo giit jinheñ ham dard ke sur meñ gaate haiñ
jab had se guzar jaatī hai ḳhushī aañsū bhī chhalakte aate haiñ
pahlū meñ parā.e dard basā ke hañsnā-hañsānā siikh zarā
tūfān se kah de ghir ke uThe ham pyaar ke diip jalāte haiñ
kāñToñ meñ khile haiñ phuul hamāre rang bhare armānoñ ke
nādān haiñ jo in kāñToñ se dāman ko bachā.e jaate haiñ
jab ġham kā añdherā ghir aa.e samjho ke saverā duur nahīñ
har raat kī hai sauġhāt yahī taare bhī yahī dohrāte haiñ
hain sabse madhur wo git jinhen hum dard ke sur mein gate hain
jab had se guzar jati hai KHushi aansu bhi chhalakte aate hain
pahlu mein parae dard basa ke hansna-hansana sikh zara
tufan se kah de ghir ke uThe hum pyar ke dip jalate hain
kanTon mein khile hain phul hamare rang bhare armanon ke
nadan hain jo in kanTon se daman ko bachae jate hain
jab gham ka andhera ghir aae samjho ke sawera dur nahin
har raat ki hai saughat yahi tare bhi yahi dohraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.