hain sar-nigun jo tana-e-KHalq-e-KHuda se hum
haiñ sar-nigūñ jo tāna-e-ḳhalq-e-ḳhudā se ham
kyā ho ga.e kisī kī mohabbat meñ kyā se ham
ab tak kabhī ke miT ga.e hote jafā se ham
zinda haiñ ai 'rashīd' kisī kī duā se ham
yaad aa ga.e jab apne gale meñ vo dast-e-nāz
ro.e lipaT lipaT ke tire naqsh-e-pā se ham
bīmār-e-dard-e-hijr kī pursish se fā.eda
achchhe haiñ yā bure haiñ tumhārī balā se ham
paidā hue haiñ phir se ye samjheñge ai 'rashīd'
jiite bache jo chāragaroñ kī davā se ham
hain sar-nigun jo tana-e-KHalq-e-KHuda se hum
kya ho gae kisi ki mohabbat mein kya se hum
ab tak kabhi ke miT gae hote jafa se hum
zinda hain ai 'rashid' kisi ki dua se hum
yaad aa gae jab apne gale mein wo dast-e-naz
roe lipaT lipaT ke tere naqsh-e-pa se hum
bimar-e-dard-e-hijr ki pursish se faeda
achchhe hain ya bure hain tumhaari bala se hum
paida hue hain phir se ye samjhenge ai 'rashid'
jite bache jo chaaragaron ki dawa se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.