hain uljhanen tamam meri zindagi ke sath
haiñ uljhaneñ tamām mirī zindagī ke saath
insāf kar rahā huuñ magar shā'irī ke saath
ye aur baat hai maiñ ziyāda na mil sakūñ
miltā nahīñ kisī se magar be-dilī ke saath
kaam aa.ī tīrgī meñ charāġhoñ kī dostī
guzrī shab-e-hayāt mirī raushnī ke saath
bikhre hue vajūd ko apne sameT kar
ham jiinā chāhte haiñ baḌī sādgī ke saath
hai jis kā jaisā zarf vo vaisā kiyā kare
karte nahīñ haiñ ham to daġhā dostī ke saath
'ālam' amīr-e-shahr bhī kartā hai ehtirām
rahte haiñ itnī shaan se ham muflisī ke saath
hain uljhanen tamam meri zindagi ke sath
insaf kar raha hun magar sha'iri ke sath
ye aur baat hai main ziyaada na mil sakun
milta nahin kisi se magar be-dili ke sath
kaam aai tirgi mein charaghon ki dosti
guzri shab-e-hayat meri raushni ke sath
bikhre hue wajud ko apne sameT kar
hum jina chahte hain baDi sadgi ke sath
hai jis ka jaisa zarf wo waisa kiya kare
karte nahin hain hum to dagha dosti ke sath
'alam' amir-e-shahr bhi karta hai ehtiram
rahte hain itni shan se hum muflisi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.