hain uske samne ai shauq kis shumar mein phul
haiñ us ke sāmne ai 'shauq' kis shumār meñ phuul
khile hoñ jis ke kaf-e-pā se regzār meñ phuul
maiñ ek ḳhaar huuñ lekin nasīb dekho to
liye haiñ chāroñ taraf se mujhe hisār meñ phuul
milā bhī kaam to ārā.ish-e-chaman kā milā
tamām umr rahe mere kārobār meñ phuul
kabhī jo maiñ ne manāyā junūñ meñ jashn-e-bahār
piro liye haiñ garebāñ ke taar taar meñ phuul
mire lahū se hai rang-e-bahār maqtal meñ
luTā.e jaate haiñ jashn-e-salīb-o-dār meñ phuul
chaman ko de ke lahū 'shauq' maiñ ne kyā paayā
na iḳhtiyār meñ kāñTe na iḳhtiyār meñ phuul
hain us ke samne ai 'shauq' kis shumar mein phul
khile hon jis ke kaf-e-pa se regzar mein phul
main ek KHar hun lekin nasib dekho to
liye hain chaaron taraf se mujhe hisar mein phul
mila bhi kaam to aaraish-e-chaman ka mila
tamam umr rahe mere karobar mein phul
kabhi jo main ne manaya junun mein jashn-e-bahaar
piro liye hain gareban ke tar tar mein phul
mere lahu se hai rang-e-bahaar maqtal mein
luTae jate hain jashn-e-salib-o-dar mein phul
chaman ko de ke lahu 'shauq' main ne kya paya
na iKHtiyar mein kanTe na iKHtiyar mein phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.