hain waqt ke mahkum to bahkenge qadam aur
hain waqt ke mahkum to bahkenge qadam aur
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
haiñ vaqt ke mahkūm to bahkeñge qadam aur
badle hue hālāt meñ kho jā.eñge ham aur
afsāna-e-andoh meñ yaksāñ hai har ik shaḳhs
is daur-e-pur-āshob meñ tum aur na ham aur
le jaate haiñ but-ḳhāne se dil apnā jalā kar
rakh leñge na.ī sham.a sar-e-tāq-e-haram aur
har shaḳhs thā ḳhāmosh mire ba.ad azal meñ
pūchhā jo gayā hai koī shā.ista-e-ġham aur
sāñche meñ masarrat ke Dhalā hai ġham-e-ulfat
ai gardish-e-āfāq mujhe de koī ġham aur
avval to bichhaḌte hī chale jaate haiñ sāthī
paḌtā hai burā vaqt to ho jaate haiñ kam aur
hālāt muāfiq nazar aate nahīñ 'qaisar'
haiñ tarkash-e-ayyām meñ kuchh tīr-e-sitam aur
hain waqt ke mahkum to bahkenge qadam aur
badle hue haalat mein kho jaenge hum aur
afsana-e-andoh mein yaksan hai har ek shaKHs
is daur-e-pur-ashob mein tum aur na hum aur
le jate hain but-KHane se dil apna jala kar
rakh lenge nai shama sar-e-taq-e-haram aur
har shaKHs tha KHamosh mere baad azal mein
puchha jo gaya hai koi shaista-e-gham aur
sanche mein masarrat ke Dhala hai gham-e-ulfat
ai gardish-e-afaq mujhe de koi gham aur
awwal to bichhaDte hi chale jate hain sathi
paDta hai bura waqt to ho jate hain kam aur
haalat muafiq nazar aate nahin 'qaisar'
hain tarkash-e-ayyam mein kuchh tir-e-sitam aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.