hain wazife sath subh-o-sham ke
haiñ vazīfe saath sub.h-o-shām ke
varna ham duniyā meñ haiñ kis kaam ke
le uḌī hai aag nafrat kī havā
dekhnā raqs-e-sharar dil thaam ke
kaise mumkin hai tire hote hue
din mayassar hoñ kabhī ārām ke
sub.h-e-nau ham ne use samjhā magar
de gayā manzar vo saare shaam ke
aisī bekārī na thī pahle kabhī
mashġhale bhī ab nahīñ ālām ke
dekh kar ham ahl-e-dil kī mastiyāñ
hosh gum haiñ gardish-e-ayyām ke
ruuh taslīm-o-razā kī miT ga.ī
rah ga.e 'ash.har' musalmāñ naam ke
hain wazife sath subh-o-sham ke
warna hum duniya mein hain kis kaam ke
le uDi hai aag nafrat ki hawa
dekhna raqs-e-sharar dil tham ke
kaise mumkin hai tere hote hue
din mayassar hon kabhi aaram ke
subh-e-nau hum ne use samjha magar
de gaya manzar wo sare sham ke
aisi bekari na thi pahle kabhi
mashghale bhi ab nahin aalam ke
dekh kar hum ahl-e-dil ki mastiyan
hosh gum hain gardish-e-ayyam ke
ruh taslim-o-raza ki miT gai
rah gae 'ashhar' musalman nam ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.